sahabo manzil-e-jaanan ki taraf jaana mat
sāhabo manzil-e-jānāñ kī taraf jaanā mat
aur jaanā to kahānī koī dohrānā mat
gul khilā degā mahakte hue chehroñ kā tilism
shahar-e-ā.īna dil-e-zār ko dikhlānā mat
mujh ko chāhā hai to baḳhsho mirī chāhat ko davām
ban ke rah jaanā Dhalī raat kā afsāna mat
vasl kī chaah meñ ruknā na kisī jism ke paas
daulat-e-hijr ko saudā.iyo Thukrānā mat
sar-burīda sī guzar jaanā shahīdoñ kī tarah
titliyo dil ke dabistāñ meñ Thahar jaanā mat
ulfateñ sab ko mayassar nahīñ hotīñ pyāre
tishna lamhoñ kī mulāqāt se uktānā mat
maqtal-e-ishq na ab kūcha-e-qātil 'rāhī'
shahr-e-be-ḳhvāb meñ jaate hue ghabrānā mat
sahabo manzil-e-jaanan ki taraf jaana mat
aur jaana to kahani koi dohrana mat
gul khila dega mahakte hue chehron ka tilism
shahar-e-aina dil-e-zar ko dikhlana mat
mujh ko chaha hai to baKHsho meri chahat ko dawam
ban ke rah jaana Dhali raat ka afsana mat
wasl ki chah mein rukna na kisi jism ke pas
daulat-e-hijr ko saudaiyo Thukrana mat
sar-burida si guzar jaana shahidon ki tarah
titliyo dil ke dabistan mein Thahar jaana mat
ulfaten sab ko mayassar nahin hotin pyare
tishna lamhon ki mulaqat se uktana mat
maqtal-e-ishq na ab kucha-e-qatil 'rahi'
shahr-e-be-KHwab mein jate hue ghabrana mat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.