sahib-e-mehr-o-wafa arz-o-sama kyun chup hai
sāhib-e-mehr-o-vafā arz-o-samā kyuuñ chup hai
ham pe to vaqt ke pahre haiñ ḳhudā kyuuñ chup hai
be-sabab ġham meñ sulagnā mirī aadat hī sahī
saaz ḳhāmosh hai kyuuñ shola-navā kyuuñ chup hai
phuul to sahm ga.e dast-e-karam se dam-e-sub.h
gungunātī huī āvāra sabā kyuuñ chup hai
ḳhatm hogā na kabhī silsila-e-ahl-e-vafā
soch ai dāvar-e-maqtal ye fazā kyuuñ chup hai
mujh pe taarī hai rah-e-ishq kī āsūda thakan
tujh pe kyā guzrī mire chāñd batā kyuuñ chup hai
jānñe vaale to sab jaan ga.e hoñge 'alīm'
ek muddat se tirā zehn-e-rasā kyuuñ chup hai
sahib-e-mehr-o-wafa arz-o-sama kyun chup hai
hum pe to waqt ke pahre hain KHuda kyun chup hai
be-sabab gham mein sulagna meri aadat hi sahi
saz KHamosh hai kyun shola-nawa kyun chup hai
phul to sahm gae dast-e-karam se dam-e-subh
gungunati hui aawara saba kyun chup hai
KHatm hoga na kabhi silsila-e-ahl-e-wafa
soch ai dawar-e-maqtal ye faza kyun chup hai
mujh pe tari hai rah-e-ishq ki aasuda thakan
tujh pe kya guzri mere chand bata kyun chup hai
jaanne wale to sab jaan gae honge 'alim'
ek muddat se tera zehn-e-rasa kyun chup hai
- Book : Chand Chehra Sitara Aankhen (Pg. 53)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.