sakit ho magar sab ko rawani nazar aae
sākit ho magar sab ko ravānī nazar aa.e
us ret ke sadqe ki jo paanī nazar aa.e
maiñ sabz parinde kī tarah shahr se jā.ūñ
peḌoñ ko mirī naql-e-makānī nazar aa.e
tālāb mire ḳhvāb ke paanī se bharā ho
aur us meñ paḌā chāñd kahānī nazar aa.e
ye aañkh ye lau kitne zamāñ dekh chukī hai
jis chiiz ko dekhūñ vo purānī nazar aa.e
kyā kyā na maiñ mashkīza-e-alfāz meñ bhar luuñ
ik baar agar mauj-e-ma.ānī nazar aa.e
sakit ho magar sab ko rawani nazar aae
us ret ke sadqe ki jo pani nazar aae
main sabz parinde ki tarah shahr se jaun
peDon ko meri naql-e-makani nazar aae
talab mere KHwab ke pani se bhara ho
aur us mein paDa chand kahani nazar aae
ye aankh ye lau kitne zaman dekh chuki hai
jis chiz ko dekhun wo purani nazar aae
kya kya na main mashkiza-e-alfaz mein bhar lun
ek bar agar mauj-e-maani nazar aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.