saman hai is darja ambar se sar phoDo
sāmān hai is darja ambār se sar phoḌo
dīdār karo chhat kā dīvār se sar phoḌo
dariyā ke musāfir ko sāhil kī tamannā kyuuñ
gardāb se tum uljho mañjhdār se sar phoḌo
āġhosh meñ T.V kī har shaam karo kaalī
har sub.h isī baasī aḳhbār se sar phoḌo
duniyā ke takabbur se tum ba.ad meñ Takrānā
filhāl miyāñ apne pindār se sar phoḌo
mat dekh ke ghabrāo logoñ se paTī saḌkeñ
behtar hai isī rashk-e-kohsār se sar phoḌo
komal haiñ rageñ is kī nāzuk hai badan 'saurabh'
ārām se dhīre se ab pyaar se sar phoḌo
saman hai is darja ambar se sar phoDo
didar karo chhat ka diwar se sar phoDo
dariya ke musafir ko sahil ki tamanna kyun
gardab se tum uljho manjhdar se sar phoDo
aaghosh mein TV ki har sham karo kali
har subh isi basi aKHbar se sar phoDo
duniya ke takabbur se tum baad mein Takrana
filhaal miyan apne pindar se sar phoDo
mat dekh ke ghabrao logon se paTi saDken
behtar hai isi rashk-e-kohsar se sar phoDo
komal hain ragen is ki nazuk hai badan 'saurabh'
aaram se dhire se ab pyar se sar phoDo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.