saman sad hazar hain tu jag to sahi
sāmān sad hazār haiñ tū jaag to sahī
sab vaqf-e-intizār haiñ tū jaag to sahī
ġhāfil nazar uThā ki vo āsār-e-sub.h-e-nau
gardūñ pe āshkār haiñ tū jaag to sahī
auqāt terī quvvat-e-bāzū pe munhasir
lamhāt sāzgār haiñ tū jaag to sahī
terā yaqīn terā amal tere valvale
hastī kā e'tibār haiñ tū jaag to sahī
o mahv-e-ḳhvāb dīda-e-bīnā ke vāste
ḳhud jalve be-qarār haiñ tū jaag to sahī
be-barg be-libās daraḳhtoñ kī Tahniyāñ
paiġhām-e-nau-bahār haiñ tū jaag to sahī
'aḳhtar'-ziyā.ī niiñd ke mātoñ ke shahr meñ
kuchh log hoshiyār haiñ tū jaag to sahī
saman sad hazar hain tu jag to sahi
sab waqf-e-intizar hain tu jag to sahi
ghafil nazar uTha ki wo aasar-e-subh-e-nau
gardun pe aashkar hain tu jag to sahi
auqat teri quwwat-e-bazu pe munhasir
lamhat sazgar hain tu jag to sahi
tera yaqin tera amal tere walwale
hasti ka e'tibar hain tu jag to sahi
o mahw-e-KHwab dida-e-bina ke waste
KHud jalwe be-qarar hain tu jag to sahi
be-barg be-libas daraKHton ki Tahniyan
paigham-e-nau-bahaar hain tu jag to sahi
'aKHtar'-ziyai nind ke maton ke shahr mein
kuchh log hoshiyar hain tu jag to sahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.