samna zindagi ka kar to sahi
sāmnā zindagī kā kar to sahī
tap ke us aag meñ nikhar to sahī
zulm se aañkh chaar kar to sahī
ho na jaa.e ye be-asar to sahī
daulat-e-umr-e-jāvedāñ mil jaa.e
tū ba-nām-e-hayāt mar to sahī
terī tasvīr bol uTThegī
merī āñkhoñ kā rang bhar to sahī
sāhil-e-bahr meñ kahāñ gauhar
zarā gahrā.ī meñ utar to sahī
haq-o-bātil agar samajhnā hai
pastī-e-fikr se ubhar to sahī
aable phuul ban ke mahkeñge
rāh-e-pur-ḳhār se guzar to sahī
dekh kitnī latīf dhaḌkan hai
qalb-e-gītī pe haath dhar to sahī
zindagī kitnī ḳhūbsūrat hai
zindagī par nigāh kar to sahī
paas apne koī sipar bhī nahīñ
vaqt achchhā hai vaar kar to sahī
samna zindagi ka kar to sahi
tap ke us aag mein nikhar to sahi
zulm se aankh chaar kar to sahi
ho na jae ye be-asar to sahi
daulat-e-umr-e-jawedan mil jae
tu ba-nam-e-hayat mar to sahi
teri taswir bol uTThegi
meri aankhon ka rang bhar to sahi
sahil-e-bahr mein kahan gauhar
zara gahrai mein utar to sahi
haq-o-baatil agar samajhna hai
pasti-e-fikr se ubhar to sahi
aable phul ban ke mahkenge
rah-e-pur-KHar se guzar to sahi
dekh kitni latif dhaDkan hai
qalb-e-giti pe hath dhar to sahi
zindagi kitni KHubsurat hai
zindagi par nigah kar to sahi
pas apne koi sipar bhi nahin
waqt achchha hai war kar to sahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.