samne KHanjar rakh kar dekhen
sāmne ḳhanjar rakh kar dekheñ
dil hai phuul ki patthar dekheñ
ek jazīra ho aur ham tum
chāroñ-or samundar dekheñ
ab kyā naam kī zebā.ish hī
har ghar kī taḳhtī par dekheñ
dam-ḳham hai āñdhī meñ kitnā
aao diip jalā kar dekheñ
aag hai donoñ kī āñkhoñ meñ
jaltā hai kis kā ghar dekheñ
sāmne manzar hī aate haiñ
aap 'asar' pas-e-manzar dekheñ
samne KHanjar rakh kar dekhen
dil hai phul ki patthar dekhen
ek jazira ho aur hum tum
chaaron-or samundar dekhen
ab kya nam ki zebaish hi
har ghar ki taKHti par dekhen
dam-KHam hai aandhi mein kitna
aao dip jala kar dekhen
aag hai donon ki aankhon mein
jalta hai kis ka ghar dekhen
samne manzar hi aate hain
aap 'asar' pas-e-manzar dekhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.