Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

samne kis ki gali hai dekho

Amar Abdabadi

samne kis ki gali hai dekho

Amar Abdabadi

MORE BYAmar Abdabadi

    sāmne kis galī hai dekho

    sar ke bal ḳhalq chalī hai dekho

    chiTThī Daalī to hai us shoḳh ke naam

    naav kāġhaz chalī hai dekho

    yuuñ taġhāful se na maslo dil ko

    ye kalī nāzoñ palī hai dekho

    merī bālīñ se na uTh kar jaao

    lo mirī nabz chalī hai dekho

    us shakar-lab zabāñ kyā kahiye

    muñh meñ misrī Dalī hai dekho

    maanā jalne ko hai parvāna bhī

    pahle to sham' jalī hai dekho

    raaz khilne na kholo is par

    ye abhī band kalī hai dekho

    'āshiqoñ chalnā hai ab sar ke bal

    sāmne kis galī hai dekho

    hijr ko vasl pe de kar tarjīh

    ham ne kyā chaal chalī hai dekho

    zāhido muuñd ke āñkheñ uḌ jaa.e

    chashm-e-maigūñ Dhalī hai dekho

    āḳhirash barq-e-nazar zad meñ

    shāḳh-e-ummīd phalī hai dekho

    kis ko mā'lūm 'amar' sīrat

    shakl to changī bhalī hai dekho

    samne kis ki gali hai dekho

    sar ke bal KHalq chali hai dekho

    chiTThi Dali to hai us shoKH ke nam

    naw kaghaz ki chali hai dekho

    yun taghaful se na maslo dil ko

    ye kali nazon pali hai dekho

    meri baalin se na uTh kar jao

    lo meri nabz chali hai dekho

    us shakar-lab ki zaban kya kahiye

    munh mein misri ki Dali hai dekho

    mana jalne ko hai parwana bhi

    pahle to sham' jali hai dekho

    raaz khilne ka na kholo is par

    ye abhi band kali hai dekho

    'ashiqon chalna hai ab sar ke bal

    samne kis ki gali hai dekho

    hijr ko wasl pe de kar tarjih

    hum ne kya chaal chali hai dekho

    zahido mund ke aankhen uD jae

    chashm-e-maigun ki Dhali hai dekho

    aaKHirash barq-e-nazar ki zad mein

    shaKH-e-ummid phali hai dekho

    kis ko ma'lum 'amar' ki sirat

    shakl to changi bhali hai dekho

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now