samne mere hai duniya jyun samundar ret ka
sāmne mere hai duniyā jyuuñ samundar ret kā
aur sab kī zindagī jaise bavanDar ret kā
ret kī dīvār ke saa.e meñ baiThā aadmī
aur saa.e par bharosa dil ke andar ret kā
ret ke mahloñ meñ rahte kārobārī ret ke
jiit kar duniyā rahegā har sikandar ret kā
niiv jaatī hai khisaktī kyā karegā rab yahāñ
dīn-o-maz.hab ret ke haiñ ....aur mandar ret kā
kahne vaalā ek 'ālam' ret ke naġhme kahe
sunñe vaalā ye zamāna jaise manzar ret kā
samne mere hai duniya jyun samundar ret ka
aur sab ki zindagi jaise bawanDar ret ka
ret ki diwar ke sae mein baiTha aadmi
aur sae par bharosa dil ke andar ret ka
ret ke mahlon mein rahte karobari ret ke
jit kar duniya rahega har sikandar ret ka
niw jati hai khisakti kya karega rab yahan
din-o-mazhab ret ke hain aur mandar ret ka
kahne wala ek 'alam' ret ke naghme kahe
sunne wala ye zamana jaise manzar ret ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.