samne mere na ghairon se milata aankhen
sāmne mere na ġhairoñ se milātā āñkheñ
kuchh bhī us shoḳh ke hotī jo hayā āñkhoñ meñ
ḳhuun agar ro.uuñ kahūñ pā-e-nigārīñ kis ke
male āñkhoñ se ki hai rang-e-hinā āñkhoñ meñ
ek shab dekh ke us rashk-e-parī ko raqqās
aaj tak phirtī hai vo jumbish-e-pā āñkhoñ meñ
rashk-e-gulnār mirī āñkhoñ ko rakhtā hai mudām
bas-ki ik shāhid-e-gul-rang-qabā āñkhoñ meñ
aa.ina dekh ke mashshāta se kahtā hai vo shoḳh
chashm-e-bad-dūr ġhazab surma ghulā āñkhoñ meñ
kyā malāhat ruḳh-e-jānāñ meñ hai allāh allāh
aa gayā jis ke tasavvur se mazā āñkhoñ meñ
ham ne dekhī hai tirī āñkhoñ ke Doroñ kī bahār
kyā rag-e-gul ko hai yaañ nashv-o-numā āñkhoñ meñ
mardum-e-dīda ko hai ḳhil.at-e-zar kī ḳhvāhish
jalva-farmā ho tū ai mehr-laqā āñkhoñ meñ
saat parde meñ agar rahne se hai shauq tujhe
ye bhī ik manzar-e-pākīza hai aa āñkhoñ meñ
dil-e-ḳhūñ-kushta mirā mujh ko nihāyat hai aziiz
siina jab chaak huā hai isī jā āñkhoñ meñ
haq ne is vāste āñkhoñ meñ banā.e parde
josh-e-girya meñ tū le ashk chhupā āñkhoñ meñ
ek ishva meñ kiyā us ne 'shahīdī' ko shahīd
ḳhanjar-o-teġh hī bhar rakkhe the kyā āñkhoñ meñ
samne mere na ghairon se milata aankhen
kuchh bhi us shoKH ke hoti jo haya aankhon mein
KHun agar roun kahun pa-e-nigarin kis ke
male aankhon se ki hai rang-e-hina aankhon mein
ek shab dekh ke us rashk-e-pari ko raqqas
aaj tak phirti hai wo jumbish-e-pa aankhon mein
rashk-e-gulnar meri aankhon ko rakhta hai mudam
bas-ki ek shahid-e-gul-rang-qaba aankhon mein
aaina dekh ke mashshata se kahta hai wo shoKH
chashm-e-bad-dur ghazab surma ghula aankhon mein
kya malahat ruKH-e-jaanan mein hai allah allah
aa gaya jis ke tasawwur se maza aankhon mein
hum ne dekhi hai teri aankhon ke Doron ki bahaar
kya rag-e-gul ko hai yan nashw-o-numa aankhon mein
mardum-e-dida ko hai KHilat-e-zar ki KHwahish
jalwa-farma ho tu ai mehr-laqa aankhon mein
sat parde mein agar rahne se hai shauq tujhe
ye bhi ek manzar-e-pakiza hai aa aankhon mein
dil-e-KHun-kushta mera mujh ko nihayat hai aziz
sina jab chaak hua hai isi ja aankhon mein
haq ne is waste aankhon mein banae parde
josh-e-girya mein tu le ashk chhupa aankhon mein
ek ishwa mein kiya us ne 'shahidi' ko shahid
KHanjar-o-tegh hi bhar rakkhe the kya aankhon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.