samne un ko paya to hum kho gae aaj phir hasrat-e-guftugu rah gai
samne un ko paya to hum kho gae aaj phir hasrat-e-guftugu rah gai
Saba Afghani
MORE BYSaba Afghani
sāmne un ko paayā to ham kho ga.e aaj phir hasrat-e-guftugū rah ga.ī
un se kahnā thā rūdād-e-shām-e-alam dil kī dil hī meñ ye aarzū rah ga.ī
ġham ke sāñche meñ ik ik nafas Dhal gayā un kī mahfil meñ ye daur bhī chal gayā
ashk piine se maanā ki dil jal gayā zabt-e-ġham kī magar aabrū rah ga.ī
tere naqsh-e-qadam bhī mile jā-ba-jā terī mahfil tirā āstāñ bhī milā
haañ magar tū kisī ko nahīñ mil sakā ho ke nākām har justujū rah ga.ī
dil meñ dāġhoñ kā jab se hai ik gulsitāñ chhin ga.ī haiñ bahāroñ se rangīniyāñ
ab guloñ meñ vo pahlī sī nik.hat kahāñ 'ārzī raunaq-e-rañg-o-bū rah ga.ī
naaz thā ham ko jin par unhīñ kī qasam vo bhī ulfat meñ nikle na sābit-qadam
be-kasī ke añdhere meñ ai shām-e-ġham ek ham rah ga.e ek tū rah ga.ī
allāh allāh tire husn kī ik jhalak raushnī ho ga.ī az-zamīñ-tā-falak
ek bijlī sī lahrā.ī kuchh duur tak phir Thahar kar mire rū-ba-rū rah ga.ī
aañkh se aañkh aur dil se dil jab milā jaane un kī nigāhoñ ne kyā kar diyā
merī āñkhoñ meñ us roz se ai 'sabā' khiñch ke tasvīr-e-jām-o-subū rah ga.ī
samne un ko paya to hum kho gae aaj phir hasrat-e-guftugu rah gai
un se kahna tha rudad-e-sham-e-alam dil ki dil hi mein ye aarzu rah gai
gham ke sanche mein ek ek nafas Dhal gaya un ki mahfil mein ye daur bhi chal gaya
ashk pine se mana ki dil jal gaya zabt-e-gham ki magar aabru rah gai
tere naqsh-e-qadam bhi mile ja-ba-ja teri mahfil tera aastan bhi mila
han magar tu kisi ko nahin mil saka ho ke nakaam har justuju rah gai
dil mein daghon ka jab se hai ek gulsitan chhin gai hain bahaaron se ranginiyan
ab gulon mein wo pahli si nikhat kahan 'arzi raunaq-e-rang-o-bu rah gai
naz tha hum ko jin par unhin ki qasam wo bhi ulfat mein nikle na sabit-qadam
be-kasi ke andhere mein ai sham-e-gham ek hum rah gae ek tu rah gai
allah allah tere husn ki ek jhalak raushni ho gai az-zamin-ta-falak
ek bijli si lahrai kuchh dur tak phir Thahar kar mere ru-ba-ru rah gai
aankh se aankh aur dil se dil jab mila jaane un ki nigahon ne kya kar diya
meri aankhon mein us roz se ai 'saba' khinch ke taswir-e-jam-o-subu rah gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.