Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

samne us but ke jab jaana paDa

Afqar Mohani

samne us but ke jab jaana paDa

Afqar Mohani

MORE BYAfqar Mohani

    sāmne us but ke jab jaanā paḌā

    kufr par īmāñ mujhe laanā paḌā

    bahar-e-darmāñ un ko jab aanā paḌā

    dard-e-dil ko aur baḌh jaanā paḌā

    phir bhī kab samjhā fareb-e-husn ko

    dil ko lākhoñ baar samjhānā paḌā

    jiite dīdār-e-jānāñ thā muhāl

    zindagī meñ mujh ko mar jaanā paḌā

    kū-e-jānāñ kūcha-e-jānāñ thā phir

    jannat-e-vā.iz ko Thukrānā paḌā

    ho chukā nazrāna jab dil husn

    phir jigar ko sāmne laanā paḌā

    zindagī meñ jab na 'afqar' aa.e vo

    zindagī ko maut ban jaanā paḌā

    samne us but ke jab jaana paDa

    kufr par iman mujhe lana paDa

    bahar-e-darman un ko jab aana paDa

    dard-e-dil ko aur baDh jaana paDa

    phir bhi kab samjha fareb-e-husn ko

    dil ko lakhon bar samjhana paDa

    jite ji didar-e-jaanan tha muhaal

    zindagi mein mujh ko mar jaana paDa

    ku-e-jaanan kucha-e-jaanan tha phir

    jannat-e-waiz ko Thukrana paDa

    ho chuka nazrana jab dil husn ka

    phir jigar ko samne lana paDa

    zindagi mein jab na 'afqar' aae wo

    zindagi ko maut ban jaana paDa

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now