samne wale ko halka jaan kar bhaari hain aap
sāmne vaale ko halkā jaan kar bhārī haiñ aap
aap kā me'yār dekhā kitne me'yārī haiñ aap
saare dariyā sab samundar muntazir haiñ aap ke
jā.iye bahiye mirī āñkhoñ se kyoñ jaarī haiñ aap
uf talak karte nahīñ zill-e-ilāhī ke ḳhilāf
aap ko darbār kī 'ādat hai darbārī haiñ aap
aap kī āzādiyāñ haiñ aap hī ke haath meñ
jis pe qudrat bhī hai nāzāñ vo giraftārī haiñ aap
jism ke piñjre meñ le kar ghūmiye nannhī sī jaan
chand sāñsoñ kī mire pyāre adākārī haiñ aap
samne wale ko halka jaan kar bhaari hain aap
aap ka me'yar dekha kitne me'yari hain aap
sare dariya sab samundar muntazir hain aap ke
jaiye bahiye meri aankhon se kyon jari hain aap
uf talak karte nahin zill-e-ilahi ke KHilaf
aap ko darbar ki 'adat hai darbari hain aap
aap ki aazadiyan hain aap hi ke hath mein
jis pe qudrat bhi hai nazan wo giraftari hain aap
jism ke pinjre mein le kar ghumiye nannhi si jaan
chand sanson ki mere pyare adakari hain aap
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.