sanp ne ghaar mein rihaish ki
saañp ne ġhaar meñ rihā.ish kī
aur dīdār kī guzārish kī
sabzagī ne ġhilāf kaaḌh liyā
aur nālain kī satā.ish kī
lab pe na.at-e-nabī ravāñ rahnā
aur siine meñ aag ḳhvāhish kī
ġhaar meñ dūsrā bhī thā koī
jis ne dīvār par nigārish kī
pesh-rau bārgāh meñ pahuñche
ya.anī bār-e-digar sifārish kī
sanp ne ghaar mein rihaish ki
aur didar ki guzarish ki
sabzagi ne ghilaf kaDh liya
aur nalain ki sataish ki
lab pe nat-e-nabi rawan rahna
aur sine mein aag KHwahish ki
ghaar mein dusra bhi tha koi
jis ne diwar par nigarish ki
pesh-rau bargah mein pahunche
yani bar-e-digar sifarish ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.