sans chaDhti hui utarti hui
saañs chaḌhtī huī utartī huī
zindagī TūTtī bikhartī huī
har taraf maut hī kī dastak hai
dil kī āvāz kyoñ hai martī huī
gahrī tārīkiyoñ meñ jugnū sī
aañkh khultī hai apnī Dartī huī
kalima-e-haq laboñ pe jaarī rakh
raushnī sī ho kuchh ubhartī huī
kyā qayāmat kā din nikal aayā
jalte sūraj se garm dhartī huī
sabr sūrat bhī phuul jaisī hai
dekhiye aag meñ nikhartī huī
ik tajallī zarūr aa.egī
dhund ke phaile par katartī huī
pyārī pyārī sī baat ulfat kī
fikr ke saare zaḳhm bhartī huī
sans chaDhti hui utarti hui
zindagi TuTti bikharti hui
har taraf maut hi ki dastak hai
dil ki aawaz kyon hai marti hui
gahri tarikiyon mein jugnu si
aankh khulti hai apni Darti hui
kalima-e-haq labon pe jari rakh
raushni si ho kuchh ubharti hui
kya qayamat ka din nikal aaya
jalte suraj se garm dharti hui
sabr surat bhi phul jaisi hai
dekhiye aag mein nikharti hui
ek tajalli zarur aaegi
dhund ke phaile par katarti hui
pyari pyari si baat ulfat ki
fikr ke sare zaKHm bharti hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.