sans chalti hai jaan baqi hai
saañs chaltī hai jaan baaqī hai
ishq kā imtihān baaqī hai
par-shikasta na jāniye sāhib
hausloñ kī uḌaan baaqī hai
āḳhirī tiir bhī hai tarkash meñ
haath meñ bhī kamān baaqī hai
paañv ke nīche hai zamīñ ab tak
sar pe bhī āsmān baaqī hai
āñdhiyāñ ho ga.ī haiñ phir nākām
bastiyoñ meñ makān baaqī hai
sans chalti hai jaan baqi hai
ishq ka imtihan baqi hai
par-shikasta na jaaniye sahib
hauslon ki uDan baqi hai
aaKHiri tir bhi hai tarkash mein
hath mein bhi kaman baqi hai
panw ke niche hai zamin ab tak
sar pe bhi aasman baqi hai
aandhiyan ho gai hain phir nakaam
bastiyon mein makan baqi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.