sans chalti rahti hai zindagi nahin hoti
saañs chaltī rahtī hai zindagī nahīñ hotī
bebasī ke lamhoñ meñ shā.irī nahīñ hotī
ishq baat kartā hai dil tavāf kartā hai
ird-gard phirne se āshiqī nahīñ hotī
zindagī ke sahrā meñ ek chāñd kaafī hai
qumqumoñ kī kasrat se raushnī nahīñ hotī
ḳhuun kī ravānī meñ is qadar mohabbat hai
nafratoñ ke halqoñ se dostī nahīñ hotī
ḳhvāhishoñ ke lashkar se roz laḌtā rahtā huuñ
ye bhī ik muamma hai dushmanī nahīñ hotī
tum ne but banā.e haiñ tum ko hī mubārak hoñ
but-shikan qabīle se āzarī nahīñ hotī
sab ḳhizāñ ke pattoñ meñ gul-bahār manzar hai
ḳhushbuoñ ke aane kī muḳhbirī nahīñ hotī
sans chalti rahti hai zindagi nahin hoti
bebasi ke lamhon mein shairi nahin hoti
ishq baat karta hai dil tawaf karta hai
ird-gard phirne se aashiqi nahin hoti
zindagi ke sahra mein ek chand kafi hai
qumqumon ki kasrat se raushni nahin hoti
KHun ki rawani mein is qadar mohabbat hai
nafraton ke halqon se dosti nahin hoti
KHwahishon ke lashkar se roz laDta rahta hun
ye bhi ek muamma hai dushmani nahin hoti
tum ne but banae hain tum ko hi mubarak hon
but-shikan qabile se aazari nahin hoti
sab KHizan ke patton mein gul-bahaar manzar hai
KHushbuon ke aane ki muKHbiri nahin hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.