sans dar sans raegani mein
saañs dar saañs rā.egānī meñ
kaT ga.ī umr be-dhiyānī meñ
hujra-e-zāt meñ charāġh jalā
rāh-numā.ī thī rāh-e-fānī meñ
maiñ sunātī thī dāstān-e-tarab
dard hañstā rahā kahānī meñ
haiñ zamān-o-makān hijrat meñ
ālam-e-hū kī lā-makānī meñ
koī sūrat sambhal nahīñ paa.ī
vaqt kī be-karāñ ravānī meñ
baat be-bāt hañstī rahtī thī
kitnī gustāḳh thī javānī meñ
bhiiḌ se duur baiThī rahtī huuñ
baat kartī huuñ be-zabānī meñ
phir ye āvāz Duub jā.egī
jism kī be-nishāñ kahānī meñ
vo falak par nahīñ milegā 'sahar'
chāñd kal gir gayā thā paanī meñ
sans dar sans raegani mein
kaT gai umr be-dhiyani mein
hujra-e-zat mein charagh jala
rah-numai thi rah-e-fani mein
main sunati thi dastan-e-tarab
dard hansta raha kahani mein
hain zaman-o-makan hijrat mein
aalam-e-hu ki la-makani mein
koi surat sambhal nahin pai
waqt ki be-karan rawani mein
baat be-baat hansti rahti thi
kitni gustaKH thi jawani mein
bhiD se dur baiThi rahti hun
baat karti hun be-zabani mein
phir ye aawaz Dub jaegi
jism ki be-nishan kahani mein
wo falak par nahin milega 'sahar'
chand kal gir gaya tha pani mein
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.