sans ki barsat meri zindagi
saañs kī barsāt merī zindagī
dhuup hai na raat merī zindagī
bandagī ke vāste muḳhtas hue
haiñ vahī lamhāt merī zindagī
aate jaate mausamoñ kī dhaḌkaneñ
ālamī ḳhidmāt merī zindagī
dekhiye ḳhud aap ke manzar talak
apne mahsūsāt merī zindagī
raushnī ḳhushbū havā 'ḳhushtar' fazā
pyaar kī sauġhāt merī zindagī
sans ki barsat meri zindagi
dhup hai na raat meri zindagi
bandagi ke waste muKHtas hue
hain wahi lamhat meri zindagi
aate jate mausamon ki dhaDkanen
aalami KHidmat meri zindagi
dekhiye KHud aap ke manzar talak
apne mahsusat meri zindagi
raushni KHushbu hawa 'KHushtar' faza
pyar ki saughat meri zindagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.