sans lete hue bhi Darta hun
saañs lete hue bhī Dartā huuñ
ye na samjheñ ki aah kartā huuñ
bahr-e-hastī meñ huuñ misāl-e-habāb
miT hī jaatā huuñ jab ubhartā huuñ
itnī āzādī bhī ġhanīmat hai
saañs letā huuñ baat kartā huuñ
shaiḳh sāhab ḳhudā se Darte hoñ
maiñ to añgrezoñ hī se Dartā huuñ
aap kyā pūchhte haiñ merā mizāj
shukr allāh kā hai martā huuñ
ye baḌā aib mujh meñ hai 'akbar'
dil meñ jo aa.e kah guzartā huuñ
sans lete hue bhi Darta hun
ye na samjhen ki aah karta hun
bahr-e-hasti mein hun misal-e-habab
miT hi jata hun jab ubharta hun
itni aazadi bhi ghanimat hai
sans leta hun baat karta hun
shaiKH sahab KHuda se Darte hon
main to angrezon hi se Darta hun
aap kya puchhte hain mera mizaj
shukr allah ka hai marta hun
ye baDa aib mujh mein hai 'akbar'
dil mein jo aae kah guzarta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.