sans lete hue Dar lagta hai
saañs lete hue Dar lagtā hai
zahr-ālūd dhuāñ phailā hai
kis ne sahrā meñ mirī āñkhoñ ke
ek dariyā ko ravāñ rakkhā hai
koī āvāz na jumbish koī
merā honā bhī koī honā hai
baat kuchh bhī na karūñgā ab ke
rū-ba-rū us ke faqat ronā hai
zaḳhm dho.e haiñ yahāñ par kis ne
saare dariyā meñ lahū phailā hai
itnā gahrā hai añdherā mujh meñ
paañv rakhte hue Dar lagtā hai
shaḳhs hañstā hai jo ā.īne meñ
yaad paḌtā hai kahīñ dekhā hai
chaaT jaa.e na mujhe dīmak sā
ġham jo siine se mire lipTā hai
jaane kyā khonā hai ab bhī mujh ko
phir se kyuuñ jī ko vahī ḳhadsha hai
sans lete hue Dar lagta hai
zahr-alud dhuan phaila hai
kis ne sahra mein meri aankhon ke
ek dariya ko rawan rakkha hai
koi aawaz na jumbish koi
mera hona bhi koi hona hai
baat kuchh bhi na karunga ab ke
ru-ba-ru us ke faqat rona hai
zaKHm dhoe hain yahan par kis ne
sare dariya mein lahu phaila hai
itna gahra hai andhera mujh mein
panw rakhte hue Dar lagta hai
shaKHs hansta hai jo aaine mein
yaad paDta hai kahin dekha hai
chaT jae na mujhe dimak sa
gham jo sine se mere lipTa hai
jaane kya khona hai ab bhi mujh ko
phir se kyun ji ko wahi KHadsha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.