sansen na-hamwar meri
sāñseñ nā-hamvār mirī
jaan havā-e-yār mirī
merī nafī ko rāsta kar
manzil saaf inkār mirī
maar mujhe aur jaan bachā
ai jān-e-bīmār mirī
paañv hue maflūj mire
chalne lagī dīvār mirī
maiñ ḳhālī maidān-e-jañg
haath us ke talvār mirī
maiñ dariyā ke husn meñ gum
jā kashtī bekār mirī
ā.inda 'farhat-ehsās'
mayyat hai tayyār mirī
sansen na-hamwar meri
jaan hawa-e-yar meri
meri nafi ko rasta kar
manzil saf inkar meri
mar mujhe aur jaan bacha
ai jaan-e-bimar meri
panw hue mafluj mere
chalne lagi diwar meri
main KHali maidan-e-jang
hath us ke talwar meri
main dariya ke husn mein gum
ja kashti bekar meri
aainda 'farhat-ehsas'
mayyat hai tayyar meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.