sanson ki jal-tarang par naghma-e-ishq gae ja
sāñsoñ kī jal-tarañg par naġhma-e-ishq gaa.e jā
ai mirī jān-e-ārzū tū yūñhī muskurā.e jā
husn-e-ḳhirām-e-nāz se jaadū na.e jagā.e jā
jab bhī jahāñ paḌeñ qadam phuul vahīñ khilā.e jā
aag lagā ke hañs kabhī ban ke ghaTā baras kabhī
bikhrā ke zulf-e-ambarīñ hosh mire uḌaa.e jā
barsoñ ke baad āñkhoñ meñ chhalkī hai pyaar kī sharāb
band na kar ye mai-kade aise hī bas pilā.e jā
mastī bhī hai samāñ bhī hai mahfil-e-dilbarāñ bhī hai
aise meñ 'tarz' jhuum kar rañg-e-ġhazal jamā.e jā
sanson ki jal-tarang par naghma-e-ishq gae ja
ai meri jaan-e-arzu tu yunhi muskurae ja
husn-e-KHiram-e-naz se jadu nae jagae ja
jab bhi jahan paDen qadam phul wahin khilae ja
aag laga ke hans kabhi ban ke ghaTa baras kabhi
bikhra ke zulf-e-ambarin hosh mere uDae ja
barson ke baad aankhon mein chhalki hai pyar ki sharab
band na kar ye mai-kade aise hi bas pilae ja
masti bhi hai saman bhi hai mahfil-e-dilbaran bhi hai
aise mein 'tarz' jhum kar rang-e-ghazal jamae ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.