sanson mein mil gai teri sanson ki bas thi
sāñsoñ meñ mil ga.ī tirī sāñsoñ kī baas thī
bahkī huī nazar thī ki phir bhī udaas thī
be-shak shikast-e-dil pe vo mab.hūt rah gayā
lekin shikast-e-dil meñ bhī zinda ik aas thī
gar tū mire havās pe chhāyā huā na thā
hastī vo kaun thī jo mire dil ke paas thī
bārish se āsmān kā chehra to dhul gayā
dhartī ke hoñT par abhī sadiyoñ kī pyaas thī
koñpal ne aañkh kholī to hairān rah ga.ī
hadd-e-nazar talak ye zamīñ be-libās thī
hoñToñ pe ik gulāb thā taaza khilā huā
āñkhoñ ke ā.inoñ meñ tamannā udaas thī
'anvar'-sadīd sochtā rahtā huuñ in dinoñ
vo kaun thā ki jis ke liye dil meñ pyaas thī
sanson mein mil gai teri sanson ki bas thi
bahki hui nazar thi ki phir bhi udas thi
be-shak shikast-e-dil pe wo mabhut rah gaya
lekin shikast-e-dil mein bhi zinda ek aas thi
gar tu mere hawas pe chhaya hua na tha
hasti wo kaun thi jo mere dil ke pas thi
barish se aasman ka chehra to dhul gaya
dharti ke honT par abhi sadiyon ki pyas thi
konpal ne aankh kholi to hairan rah gai
hadd-e-nazar talak ye zamin be-libas thi
honTon pe ek gulab tha taza khila hua
aankhon ke aainon mein tamanna udas thi
'anwar'-sadid sochta rahta hun in dinon
wo kaun tha ki jis ke liye dil mein pyas thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.