Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sanson mein shahr-bhar ki utar jaana chahiye

Anis Dehlavi

sanson mein shahr-bhar ki utar jaana chahiye

Anis Dehlavi

MORE BYAnis Dehlavi

    sāñsoñ meñ shahr-bhar utar jaanā chāhiye

    ḳhushbū ho tum to tum ko bikhar jaanā chāhiye

    karnā hai aap ko jo na.e rāstoñ khoj

    sab jis taraf na jaa.eñ udhar jaanā chāhiye

    us bevafā pe marne ko āmāda dil nahīñ

    lekin vafā zid hai ki mar jaanā chāhiye

    dīvār ban ke vaqt agar rāsta na de

    jhoñkā havā ban ke guzar jaanā chāhiye

    un ke sivā.e jin pe tabāhī guzar ga.ī

    har shaḳhs kah rahā hai ki har jaanā chāhiye

    yuuñ aah bhar ki us taġhāful laraz uThe

    ḳhaak ho gayā ye ḳhabar jaanā chāhiye

    aglī safoñ meñ ham raheñ kyuuñ sadā 'anīs'

    ab ma.arke meñ us bhī sar jaanā chāhiye

    sanson mein shahr-bhar ki utar jaana chahiye

    KHushbu ho tum to tum ko bikhar jaana chahiye

    karna hai aap ko jo nae raston ki khoj

    sab jis taraf na jaen udhar jaana chahiye

    us bewafa pe marne ko aamada dil nahin

    lekin wafa ki zid hai ki mar jaana chahiye

    diwar ban ke waqt agar rasta na de

    jhonka hawa ka ban ke guzar jaana chahiye

    un ke siwae jin pe tabahi guzar gai

    har shaKHs kah raha hai ki har jaana chahiye

    yun aah bhar ki us ka taghaful laraz uThe

    tu KHak ho gaya ye KHabar jaana chahiye

    agli safon mein hum hi rahen kyun sada 'anis'

    ab marke mein us ka bhi sar jaana chahiye

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now