sanwli zulfon ki chadar tan kar
sāñvlī zulfoñ kī chādar taan kar
mom ke jismoñ pe ik ehsān kar
dhuup kī thālī meñ baiThā ik kisān
khā gayā sūraj ko roTī jaan kar
ḳhushk ho jā.egā dariyā ek din
bādaloñ ko apne ghar mehmān kar
maiñ ka.ī hāthoñ meñ jā kar baT gayā
joḌ de mujh ko mirī pahchān kar
sanwli zulfon ki chadar tan kar
mom ke jismon pe ek ehsan kar
dhup ki thaali mein baiTha ek kisan
kha gaya suraj ko roTi jaan kar
KHushk ho jaega dariya ek din
baadalon ko apne ghar mehman kar
main kai hathon mein ja kar baT gaya
joD de mujh ko meri pahchan kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.