saqi hai garche be-shumar sharab
saaqī hai garche be-shumār sharāb
nahīñ ḳhush-tar sivā.e yaar sharāb
qatl par kis ke aaj hotī hai
tausan-e-husn par savār sharāb
rakh karam par tire nazar mujrim
nosh karte haiñ be-shumār sharāb
un ko āñkheñ dikhā de Tuk saaqī
chāhte haiñ jo baar baar sharāb
yā alī hashr meñ do 'chandā' ko
āb-e-kausar kī ḳhush-gavār sharāb
saqi hai garche be-shumar sharab
nahin KHush-tar siwae yar sharab
qatl par kis ke aaj hoti hai
tausan-e-husn par sawar sharab
rakh karam par tere nazar mujrim
nosh karte hain be-shumar sharab
un ko aankhen dikha de Tuk saqi
chahte hain jo bar bar sharab
ya ali hashr mein do 'chanda' ko
aab-e-kausar ki KHush-gawar sharab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.