saqi ho aur chaman ho mina ho aur hum hon
saaqī ho aur chaman ho miinā ho aur ham hoñ
bārāñ ho aur havā ho sabza ho aur ham hoñ
zāhid ho aur taqvā aabid ho aur musallā
maalā ho aur barahman sahbā ho aur ham hoñ
majnūñ haiñ ham hameñ to is shahr se hai vahshat
shahrī hoñ aur bastī sahrā ho aur ham hoñ
yā-rab koī muḳhālif hove na gird mere
ḳhalvat ho aur shab ho pyārā ho aur ham hoñ
dīvāngī kā ham ko kyā haz ho har taraf gar
laḌke hoñ aur phathre balvā ho aur ham hoñ
auroñ ko aish-o-ishrat ai charḳh-e-be-muravvat
ġhussa ho aur ġham ho ronā ho aur ham hoñ
īmān o diiñ se 'tābāñ' kuchh kaam nahīñ hai ham ko
saaqī ho aur mai ho duniyā ho aur ham hoñ
saqi ho aur chaman ho mina ho aur hum hon
baran ho aur hawa ho sabza ho aur hum hon
zahid ho aur taqwa aabid ho aur musalla
mala ho aur barahman sahba ho aur hum hon
majnun hain hum hamein to is shahr se hai wahshat
shahri hon aur basti sahra ho aur hum hon
ya-rab koi muKHalif howe na gird mere
KHalwat ho aur shab ho pyara ho aur hum hon
diwangi ka hum ko kya haz ho har taraf gar
laDke hon aur phathre balwa ho aur hum hon
auron ko aish-o-ishrat ai charKH-e-be-murawwat
ghussa ho aur gham ho rona ho aur hum hon
iman o din se 'taban' kuchh kaam nahin hai hum ko
saqi ho aur mai ho duniya ho aur hum hon
- Deewan-e-Taban Rekhta Website)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.