saqi wo baat aur hai marzi teri na ho
saaqī vo baat aur hai marzī tirī na ho
mumkin nahīñ ki shīshe meñ kuchh bhī bachī na ho
hālat ḳharāb aisī kisī kī huī na ho
iisā bhī aa.eñ to bhī mirī jaañ barī na ho
siine meñ shor aaj hai kaisā machā huā
dekho to aarzū koī sar pīTtī na ho
furqat meñ jaan bachne kī ummīd to nahīñ
haañ aur chaar din mirī hālat burī na ho
tum haath mere siine pe rakkho to naaz se
mumkin nahīñ ki dard-e-jigar meñ kamī na ho
kyūñkar banegā aap ke aane se us kā kaam
bachne kī jis ġharīb ke ummīd hī na ho
kyā kyā bahak rahā hai ye bātoñ meñ dekhnā
mujh ko gumān hai kahīñ vaa.iz ne pī na ho
girtā na ek din bhī ki jis meñ bajā.e ashk
āñkhoñ se merī ḳhuun kī naddī bahī na ho
vo shoḳh mehrbāñ ho to duniyā ho mehrbāñ
vo mudda.ā na ho to koī mudda.ī na ho
dil pherne kā us se na hargiz karūñ savāl
zālim ne chashm-e-mehr agar pher lī na ho
khāne ke vāste ġham-e-ulfat na ho agar
is lutf is maze se basar zindagī na ho
pahlū meñ tum raqīb ke baiTho ḳhudā kī shaan
dekho qayāmat aaj kahīñ uTh khaḌī na ho
dil thaam kar uThā jo abhī un kī bazm se
mujh ko gumān hai kahīñ 'hāmid' yahī na ho
saqi wo baat aur hai marzi teri na ho
mumkin nahin ki shishe mein kuchh bhi bachi na ho
haalat KHarab aisi kisi ki hui na ho
isa bhi aaen to bhi meri jaan bari na ho
sine mein shor aaj hai kaisa macha hua
dekho to aarzu koi sar piTti na ho
furqat mein jaan bachne ki ummid to nahin
han aur chaar din meri haalat buri na ho
tum hath mere sine pe rakkho to naz se
mumkin nahin ki dard-e-jigar mein kami na ho
kyunkar banega aap ke aane se us ka kaam
bachne ki jis gharib ke ummid hi na ho
kya kya bahak raha hai ye baaton mein dekhna
mujh ko guman hai kahin waiz ne pi na ho
girta na ek din bhi ki jis mein bajae ashk
aankhon se meri KHun ki naddi bahi na ho
wo shoKH mehrban ho to duniya ho mehrban
wo muddaa na ho to koi muddai na ho
dil pherne ka us se na hargiz karun sawal
zalim ne chashm-e-mehr agar pher li na ho
khane ke waste gham-e-ulfat na ho agar
is lutf is maze se basar zindagi na ho
pahlu mein tum raqib ke baiTho KHuda ki shan
dekho qayamat aaj kahin uTh khaDi na ho
dil tham kar uTha jo abhi un ki bazm se
mujh ko guman hai kahin 'hamid' yahi na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.