saqi ye tere bas mein hai de jam ya na de
saaqī ye tere bas meñ hai de jaam yā na de
jhūTā magar kisī ko kabhī aasrā na de
soz-e-firāq kashmakash-e-mudda.ā na de
dushman ko bhī kisī kī mohabbat ḳhudā na de
shāyad ki so gayā hai junūñ phir jagā na de
zanjīr-e-pā ko ḳhvāb-e-rihā.ī hilā na de
karnā paḌe zamīr ke bar-aks bandagī
majbūriyoñ kisī ko zarūrat banā na de
kyā kyā dikhā rahā hai mohabbat ke sabz baaġh
miTTī meñ dil ko josh-e-javānī milā na de
gum ho ke maiñ ne siikh liyā ḳhuub ye usuul
jis ko ḳhabar mile vo tumhārā patā na de
ai 'jurm' dard-o-ishq kā milnā nahīñ hai khel
jab tak kisī bashar ko ye ne.amat ḳhudā na de
saqi ye tere bas mein hai de jam ya na de
jhuTa magar kisi ko kabhi aasra na de
soz-e-firaq kashmakash-e-muddaa na de
dushman ko bhi kisi ki mohabbat KHuda na de
shayad ki so gaya hai junun phir jaga na de
zanjir-e-pa ko KHwab-e-rihai hila na de
karna paDe zamir ke bar-aks bandagi
majburiyon kisi ko zarurat bana na de
kya kya dikha raha hai mohabbat ke sabz bagh
miTTi mein dil ko josh-e-jawani mila na de
gum ho ke main ne sikh liya KHub ye usul
jis ko KHabar mile wo tumhaara pata na de
ai 'jurm' dard-o-ishq ka milna nahin hai khel
jab tak kisi bashar ko ye neamat KHuda na de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.