saqi zuhur-e-subh o tarashshah hai nur ka
saaqī zuhūr-e-sub.h o tarashshah hai nuur kā
de mai yahī to vaqt hai nuur o zuhūr kā
kūche meñ us ke jis ko jagah mil ga.ī vo phir
maa.il huā na sehn-e-chaman ke surūr kā
ye gul jo ham ne haath pe khaa.e haiñ rū-ba-rū
ham ko yahī milā hai tabarruk huzūr kā
sīmāb jis ko kahte haiñ sīmāb ye nahīñ
dil aab ho gayā hai kasī nā-subūr kā
mai pī ke āshiqī ke ḳharābāt meñ 'nazīr'
ne Dar hai mohtasib kā na sadrussudūr kā
saqi zuhur-e-subh o tarashshah hai nur ka
de mai yahi to waqt hai nur o zuhur ka
kuche mein us ke jis ko jagah mil gai wo phir
mail hua na sehn-e-chaman ke surur ka
ye gul jo hum ne hath pe khae hain ru-ba-ru
hum ko yahi mila hai tabarruk huzur ka
simab jis ko kahte hain simab ye nahin
dil aab ho gaya hai kasi na-subur ka
mai pi ke aashiqi ke KHarabaat mein 'nazir'
ne Dar hai mohtasib ka na sadrussudur ka
- Deewan-e-Nazeer Akbarabadi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.