saqiya ek nazar jam se pahle pahle
sāqiyā ek nazar jaam se pahle pahle
ham ko jaanā hai kahīñ shaam se pahle pahle
nau-giraftār-e-vafā sa.i-e-rihā.ī hai abas
ham bhī uljhe the bahut daam se pahle pahle
ḳhush ho ai dil ki mohabbat to nibhā dī tū ne
log ujaḌ jaate haiñ anjām se pahle pahle
ab tire zikr pe ham baat badal dete haiñ
kitnī raġhbat thī tire naam se pahle pahle
sāmne umr paḌī hai shab-e-tanhā.ī kī
vo mujhe chhoḌ gayā shaam se pahle pahle
kitnā achchhā thā ki ham bhī jiyā karte the 'farāz'
ġhair-mārūf se gumnām se pahle pahle
saqiya ek nazar jam se pahle pahle
hum ko jaana hai kahin sham se pahle pahle
nau-giraftar-e-wafa sai-e-rihai hai abas
hum bhi uljhe the bahut dam se pahle pahle
KHush ho ai dil ki mohabbat to nibha di tu ne
log ujaD jate hain anjam se pahle pahle
ab tere zikr pe hum baat badal dete hain
kitni raghbat thi tere nam se pahle pahle
samne umr paDi hai shab-e-tanhai ki
wo mujhe chhoD gaya sham se pahle pahle
kitna achchha tha ki hum bhi jiya karte the 'faraaz'
ghair-maruf se gumnam se pahle pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.