saqiya tanz na kar chashm-e-karam rahne de
sāqiyā tanz na kar chashm-e-karam rahne de
mere sāġhar meñ agar kam hai to kam rahne de
ishq-e-āvāra ko mahrūm-e-karam rahne de
apne māthe pe shikan zulf meñ ḳham rahne de
tū zamāne ko miTātā hai miTā de lekin
ishq kī raah meñ kuchh naqsh-e-qadam rahne de
mere uljhe hue hālāt ġhanīmat haiñ mujhe
dil kī bātoñ meñ na aa pursish-e-ġham rahne de
āshiyāñ phūñk ke takmīl-e-charāġhāñ kar de
fasl-e-gul aa.ī hai gulshan kā bharam rahne de
zindagī ġham se sañvartī hai nikhartī hai qamar
zindagī ko yūñhī ālūda-e-ġham rahne de
saqiya tanz na kar chashm-e-karam rahne de
mere saghar mein agar kam hai to kam rahne de
ishq-e-awara ko mahrum-e-karam rahne de
apne mathe pe shikan zulf mein KHam rahne de
tu zamane ko miTata hai miTa de lekin
ishq ki rah mein kuchh naqsh-e-qadam rahne de
mere uljhe hue haalat ghanimat hain mujhe
dil ki baaton mein na aa pursish-e-gham rahne de
aashiyan phunk ke takmil-e-charaghan kar de
fasl-e-gul aai hai gulshan ka bharam rahne de
zindagi gham se sanwarti hai nikharti hai qamar
zindagi ko yunhi aaluda-e-gham rahne de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.