Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sare aalam ke dard-mand rahe

Shareef Munawwar

sare aalam ke dard-mand rahe

Shareef Munawwar

MORE BYShareef Munawwar

    Interesting Fact

    1973

    saare aalam ke dard-mand rahe

    ham bhī kyā intihā-pasand rahe

    sar-kashī thī hamārī fitrat meñ

    past jitne hue buland rahe

    hosh-mandī to ik zarūrat thī

    fitratan ham junūñ-pasand rahe

    aabrū fan inkisār se thī

    sar jhukāyā to sar-buland rahe

    ham zamāne ke dard apnā kar

    apne ghar meñ nā-pasand rahe

    baa'd tere na lagā lekin

    kaun se kaam the ki band rahe

    sare aalam ke dard-mand rahe

    hum bhi kya intiha-pasand rahe

    sar-kashi thi hamari fitrat mein

    past jitne hue buland rahe

    hosh-mandi to ek zarurat thi

    fitratan hum junun-pasand rahe

    aabru fan ki inkisar se thi

    sar jhukaya to sar-buland rahe

    hum zamane ke dard apna kar

    apne ghar hi mein na-pasand rahe

    ba'd tere na ji laga lekin

    kaun se kaam the ki band rahe

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now