saare aalam se mire ġham kā hai afsāna judā
dil ke mātam ke liye chāhiye ġham-ḳhāna judā
garche vahshat kā nahīñ hai koī afsāna judā
par nazar aatā hai sab se tirā dīvāna judā
qurbat-e-husn ġhazab hai ki sar-e-mahfil-e-nāz
us ke lab se nahīñ hotā lab-e-paimāna judā
ai ḳhudā kashmakash-e-yās-o-tamannā kab talak
un ke rahne ke liye dil meñ ho har ḳhāna judā
aaj tañg aa ke ye nāseh ko diyā maiñ ne javāb
maz.hab-e-shaiḳh judā mashrab-e-rindāna judā
ḳhushk ho jaa.e jo baaqī hai rag-e-jāñ meñ lahū
dil se honā na abhī ai ġham-e-jānāna na judā
be-ḳhudī meñ bhī raqābat kā magar hai ehsās
ek sahrā meñ hai dīvāne se dīvāna judā
sabr kī mujh ko judā.ī meñ hai talqīn fuzūl
ye to jab ho ki rahe sham.a se parvāna judā
dasht jāgīr hai majnūñ kī to kyā fikr 'nazar'
khod kar ghar ko banā lījiye vīrāna judā
sare aalam se mere gham ka hai afsana juda
dil ke matam ke liye chahiye gham-KHana juda
garche wahshat ka nahin hai koi afsana juda
par nazar aata hai sab se tera diwana juda
qurbat-e-husn ghazab hai ki sar-e-mahfil-e-naz
us ke lab se nahin hota lab-e-paimana juda
ai KHuda kashmakash-e-yas-o-tamanna kab talak
un ke rahne ke liye dil mein ho har KHana juda
aaj tang aa ke ye naseh ko diya main ne jawab
mazhab-e-shaiKH juda mashrab-e-rindana juda
KHushk ho jae jo baqi hai rag-e-jaan mein lahu
dil se hona na abhi ai gham-e-jaanana na juda
be-KHudi mein bhi raqabat ka magar hai ehsas
ek sahra mein hai diwane se diwana juda
sabr ki mujh ko judai mein hai talqin fuzul
ye to jab ho ki rahe shama se parwana juda
dasht jagir hai majnun ki to kya fikr 'nazar'
khod kar ghar ko bana lijiye virana juda
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.