sare ahl-e-jahan mein ayal-e-KHuda
saare ahl-e-jahāñ meñ ayāl-e-ḳhudā
gabr kyā dahriya kyā musalmān kyā
TuuTī naav kā jab ho muhāfiz ḳhudā
jazr-o-mad kyā bhañvar kyā hai tūfān kyā
jab gayā dil to armān saare ga.e
gar makāñ ho na baaqī to mehmān kyā
nit-na.e fitne uThte haiñ duniyā meñ kyoñ
bhes meñ aadmī ke hai shaitān kyā
us ko pahchāne 'bartar' ye mumkin nahīñ
vo na yak-rang hai us kī pahchān kyā
sare ahl-e-jahan mein ayal-e-KHuda
gabr kya dahriya kya musalman kya
TuTi naw ka jab ho muhafiz KHuda
jazr-o-mad kya bhanwar kya hai tufan kya
jab gaya dil to arman sare gae
gar makan ho na baqi to mehman kya
nit-nae fitne uThte hain duniya mein kyon
bhes mein aadmi ke hai shaitan kya
us ko pahchane 'bartar' ye mumkin nahin
wo na yak-rang hai us ki pahchan kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.