sare bhule bisron ki yaad aati hai
saare bhūle bisroñ kī yaad aatī hai
ek ġhazal sab zaḳhm hare kar jaatī hai
pā lene kī ḳhvāhish se mohtāt raho
mahrūmī kī bīmārī lag jaatī hai
ġham ke pīchhe maare maare phirnā kyā
ye daulat to ghar baiThe aa jaatī hai
din ke sab hañgāme rakhnā zehnoñ meñ
raat bahut sannāTe le kar aatī hai
dāman to bhar jaate haiñ ayyārī se
dastar-ḳhvānoñ se barkat uTh jaatī hai
raat ga.e tak chaltī hai Tv par film
roz namāz-e-fazr qazā ho jaatī hai
sare bhule bisron ki yaad aati hai
ek ghazal sab zaKHm hare kar jati hai
pa lene ki KHwahish se mohtat raho
mahrumi ki bimari lag jati hai
gham ke pichhe mare mare phirna kya
ye daulat to ghar baiThe aa jati hai
din ke sab hangame rakhna zehnon mein
raat bahut sannaTe le kar aati hai
daman to bhar jate hain ayyari se
dastar-KHwanon se barkat uTh jati hai
raat gae tak chalti hai Tw par film
roz namaz-e-fazr qaza ho jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.