sare gamle sukh gae hain kaisa mausam aaya hai
saare gamle suukh ga.e haiñ kaisā mausam aaya hai
gulshan gulshan vīrānī hai phuul haiñ aur na sabza hai
ahl-e-ḳhirad kuchh soch rahe haiñ chhoḌo un kā zikr hī kiyā
dīvāne bhī muhr ba-lab haiñ shahr meñ ik sannāTā hai
raat añdherī ḳhauf kā aalam jā ke kahāñ sar phoḌeñge
band kivāḌoñ par dastak to dīvānoñ kā hissa hai
ahl-e-basīrat soch se aarī kaale dhande gore log
ham ne be-kārī ke dinoñ meñ jaane kyā kyā sochā hai
ghar ke āñgan meñ cherī ke phuul khile to kyā hāsil
qarya qarya vīrānī hai gulshan gulshan ujḌā hai
aḳhbāroñ meñ chhapvātā huuñ na.ī na.ī ġhazleñ aksar
aaj mire dīvāne-pan kā saare shahr meñ charchā hai
'rāz' tumheñ ye kyā sūjhī hai jo sher sunāne nikle ho
ye lāshoñ kā shahr hai is par ifrītoñ kā saayā hai
sare gamle sukh gae hain kaisa mausam aaya hai
gulshan gulshan virani hai phul hain aur na sabza hai
ahl-e-KHirad kuchh soch rahe hain chhoDo un ka zikr hi kiya
diwane bhi muhr ba-lab hain shahr mein ek sannaTa hai
raat andheri KHauf ka aalam ja ke kahan sar phoDenge
band kiwaDon par dastak to diwanon ka hissa hai
ahl-e-basirat soch se aari kale dhande gore log
hum ne be-kari ke dinon mein jaane kya kya socha hai
ghar ke aangan mein cheri ke phul khile to kya hasil
qarya qarya virani hai gulshan gulshan ujDa hai
aKHbaron mein chhapwata hun nai nai ghazlen aksar
aaj mere diwane-pan ka sare shahr mein charcha hai
'raaz' tumhein ye kya sujhi hai jo sher sunane nikle ho
ye lashon ka shahr hai is par ifriton ka saya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.