sare hi zindagi ke fasane badal gae
saare hī zindagī ke fasāne badal ga.e
mausam kī tarah dost purāne badal ga.e
siskā hai ghar kī chhat pe parinda bhī raat bhar
khaa.e jahāñ nivāle gharāne badal ga.e
shānoñ pe jis pitā ne dikhāyā use jahāñ
biTiyā baḌī huī to Thikāne badal ga.e
paiñsaTh kī umr meñ bhī chaḌhī haiñ javāniyāñ
āb-o-havā ke saath siyāne badal ga.e
niklī hai qaid-e-ashk se muddat meñ ye 'kashish'
is marhale ke ba.ad zamāne badal ga.e
sare hi zindagi ke fasane badal gae
mausam ki tarah dost purane badal gae
siska hai ghar ki chhat pe parinda bhi raat bhar
khae jahan niwale gharane badal gae
shanon pe jis pita ne dikhaya use jahan
biTiya baDi hui to Thikane badal gae
painsaTh ki umr mein bhi chaDhi hain jawaniyan
aab-o-hawa ke sath siyane badal gae
nikli hai qaid-e-ashk se muddat mein ye 'kashish'
is marhale ke baad zamane badal gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.