sare jahan ko husn ka sail bana diya
saare jahāñ ko husn kā saa.il banā diyā
jis dil ko tū ne dekh liyā dil banā diyā
shāhān-e-vaqt kā ye karishma to dekhiye
mazlūm o be-gunāh ko qātil banā diyā
ik bekas-o-ġharīb ko kal raat shahr ne
patthar se maar maar ke ghā.il banā diyā
ye to amīr-e-vaqt kā adnā kamāl hai
jāhil ko ālimoñ ke muqābil banā diyā
kuchh bhī atā ho husn kā sadqa ai jān-e-jāñ
'anjum' ko tere ishq ne saa.il banā diyā
sare jahan ko husn ka sail bana diya
jis dil ko tu ne dekh liya dil bana diya
shahan-e-waqt ka ye karishma to dekhiye
mazlum o be-gunah ko qatil bana diya
ek bekas-o-gharib ko kal raat shahr ne
patthar se mar mar ke ghail bana diya
ye to amir-e-waqt ka adna kamal hai
jahil ko aalimon ke muqabil bana diya
kuchh bhi ata ho husn ka sadqa ai jaan-e-jaan
'anjum' ko tere ishq ne sail bana diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.