sari duniya ke gham hamare hain
saarī duniyā ke ġham hamāre haiñ
aur sitam ye ki ham tumhāre haiñ
dil-e-barbād ye ḳhayāl rahe
us ne gesū nahīñ sañvāre haiñ
un rafīqoñ se sharm aatī hai
jo mirā saath de ke haare haiñ
aur to ham ne kyā kiyā ab tak
ye kiyā hai ki din guzāre haiñ
us galī se jo ho ke aa.e hoñ
ab to vo rāh-rau bhī pyāre haiñ
'jaun' ham zindagī kī rāhoñ meñ
apnī tanhā-ravī ke maare haiñ
sari duniya ke gham hamare hain
aur sitam ye ki hum tumhaare hain
dil-e-barbaad ye KHayal rahe
us ne gesu nahin sanware hain
un rafiqon se sharm aati hai
jo mera sath de ke haare hain
aur to hum ne kya kiya ab tak
ye kiya hai ki din guzare hain
us gali se jo ho ke aae hon
ab to wo rah-rau bhi pyare hain
'jaun' hum zindagi ki rahon mein
apni tanha-rawi ke mare hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.