sari duniya ke talluq se jo socha jata
saarī duniyā ke ta.alluq se jo sochā jaatā
aadmī itne qabīloñ meñ na bāñTā jaatā
dil kā ahvāl na pūchho ki bahut roz hue
is ḳharābe kī taraf maiñ nahīñ aatā jaatā
zindagī tishna-dahānī kā safar thī shāyad
ham jidhar jaate usī raah pe sahrā jaatā
shaam hote hī koī sham.a jalā rakhnī thī
jab darīche se havā aatī to dekhā jaatā
raushnī apne gharoñdoñ meñ chhupī thī varna
shahr ke shahr pe shab-ḳhūn na maarā jaatā
saare kāġhaz pe bichhī thiiñ mirī āñkheñ 'qaisar'
itne aañsū the ki ik harf na likkhā jaatā
sari duniya ke talluq se jo socha jata
aadmi itne qabilon mein na banTa jata
dil ka ahwal na puchho ki bahut roz hue
is KHarabe ki taraf main nahin aata jata
zindagi tishna-dahani ka safar thi shayad
hum jidhar jate usi rah pe sahra jata
sham hote hi koi shama jala rakhni thi
jab dariche se hawa aati to dekha jata
raushni apne gharondon mein chhupi thi warna
shahr ke shahr pe shab-KHun na mara jata
sare kaghaz pe bichhi thin meri aankhen 'qaisar'
itne aansu the ki ek harf na likkha jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.