sari duniya ki nigahon mein tamasha ho gaya
saarī duniyā kī nigāhoñ meñ tamāsha ho gayā
'ishq tum se kyā huā hai maiñ to rusvā ho gayā
saa.e meñ ḳhushiyoñ ke kitne log mere saath the
dhuup ġham kī phailte hī maiñ akelā ho gayā
ab kisī se ḳhair-ḳhvāhī kī nahīñ rakhnā umiid
aadmī vaisā nahīñ thā aaj jaisā ho gayā
raaz jitne the sabhī siine meñ mere dafn the
dostoñ meñ kis tarah phir is kā charchā ho gayā
sochiye is par bhī jo fursat mile to baiTh kar
kyā huā vīrān kyuuñ gulshan hamārā ho gayā
ho gayā maġhrūr apnī lau pe ghar kā har charāġh
raushnī ke phail jaane se añdherā ho gayā
nāma-e-ā'māl merā 'shād' raushan kar gayā
ek hī qatra nadāmat kā sitāra ho gayā
sari duniya ki nigahon mein tamasha ho gaya
'ishq tum se kya hua hai main to ruswa ho gaya
sae mein KHushiyon ke kitne log mere sath the
dhup gham ki phailte hi main akela ho gaya
ab kisi se KHair-KHwahi ki nahin rakhna umid
aadmi waisa nahin tha aaj jaisa ho gaya
raaz jitne the sabhi sine mein mere dafn the
doston mein kis tarah phir is ka charcha ho gaya
sochiye is par bhi jo fursat mile to baiTh kar
kya hua viran kyun gulshan hamara ho gaya
ho gaya maghrur apni lau pe ghar ka har charagh
raushni ke phail jaane se andhera ho gaya
nama-e-a'mal mera 'shad' raushan kar gaya
ek hi qatra nadamat ka sitara ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.