Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sari hairat hai meri sari ada uski hai

Javed Akhtar

sari hairat hai meri sari ada uski hai

Javed Akhtar

MORE BYJaved Akhtar

    saarī hairat hai mirī saarī adā us hai

    be-gunāhī hai mirī aur sazā us hai

    mere alfāz meñ jo rañg hai vo us hai

    mere ehsās meñ jo hai vo fazā us hai

    sher mere haiñ magar in meñ mohabbat us

    phuul mere haiñ magar bād-e-sabā us hai

    ik mohabbat ye tasvīr hai do rañgoñ meñ

    shauq sab merā hai aur saarī hayā us hai

    ham ne kyā us se mohabbat ijāzat thī

    dil-shikan sahī par baat bajā us hai

    ek mere sivā sab ko pukāre hai koī

    maiñ ne pahle kahā thā ye sadā us hai

    ḳhuun se sīñchī hai maiñ ne jo zamīñ mar mar ke

    vo zamīñ ek sitam-gar ne kahā us hai

    us ne is ko ujāḌā hai ise luuTā hai

    ye zamīñ us agar hai bhī to kyā us hai

    sari hairat hai meri sari ada us ki hai

    be-gunahi hai meri aur saza us ki hai

    mere alfaz mein jo rang hai wo us ka hai

    mere ehsas mein jo hai wo faza us ki hai

    sher mere hain magar in mein mohabbat us ki

    phul mere hain magar baad-e-saba us ki hai

    ek mohabbat ki ye taswir hai do rangon mein

    shauq sab mera hai aur sari haya us ki hai

    hum ne kya us se mohabbat ki ijazat li thi

    dil-shikan hi sahi par baat baja us ki hai

    ek mere hi siwa sab ko pukare hai koi

    main ne pahle hi kaha tha ye sada us ki hai

    KHun se sinchi hai main ne jo zamin mar mar ke

    wo zamin ek sitam-gar ne kaha us ki hai

    us ne hi is ko ujaDa hai ise luTa hai

    ye zamin us ki agar hai bhi to kya us ki hai

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now