sari jafaen sare karam yaad aa gae
saarī jafā.eñ saare karam yaad aa ga.e
jaise bhī yaad aa.e hoñ ham yaad aa ga.e
jab bhī kahīñ se pyaar milā yā ḳhushī milī
duniyā ke dard-o-ranj-o-alam yaad aa ga.e
dekhīñ haiñ jab bhī gul ke qarīñ chand titliyāñ
kitne ḳhayāl-o-ḳhvāb baham yaad aa ga.e
likkhā thā tum ne ḳhat meñ ki tum ne bhulā diyā
kyā hādsa huā hai ki ham yaad aa ga.e
pardes meñ jo aa.ī nazar nargisī nigāh
ik bā-vafā ke dīda-e-nam yaad aa ga.e
muddat huī hai bichhḌe hue apne-āp se
dekhā jo aaj tum ko to ham yaad aa ga.e
suljhā.īñ jab bhī ziist kī 'sāġhar' ne gutthiyāñ
nāgāh terī zulf ke ḳham yaad aa ga.e
sari jafaen sare karam yaad aa gae
jaise bhi yaad aae hon hum yaad aa gae
jab bhi kahin se pyar mila ya KHushi mili
duniya ke dard-o-ranj-o-alam yaad aa gae
dekhin hain jab bhi gul ke qarin chand titliyan
kitne KHayal-o-KHwab baham yaad aa gae
likkha tha tum ne KHat mein ki tum ne bhula diya
kya hadsa hua hai ki hum yaad aa gae
pardes mein jo aai nazar nargisi nigah
ek ba-wafa ke dida-e-nam yaad aa gae
muddat hui hai bichhDe hue apne-ap se
dekha jo aaj tum ko to hum yaad aa gae
suljhain jab bhi zist ki 'saghar' ne gutthiyan
nagah teri zulf ke KHam yaad aa gae
- Book : Kulliyat-e-Saghar Khayyami (Pg. 371)
- Author : Saghar Khayyami
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd. (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.