sari sochen zehn se jhaTko
saarī socheñ zehn se jhaTko
saare motī ḳhaak meñ rolo
duniyā se samjhauta kar lo
hiire kaaTo patthar bolo
apne halke-pan ko chhupāo
apnī kashtī aap Dubo lo
rastoñ ko hamvār banā lo
patthar meñ bārūd samo lo
is dam koī paas nahīñ hai
aao apne aap meñ ho lo
auroñ kī phir bāteñ karnā
pahle apne aap ko tolo
'faḳhr' laboñ se phuul bikhero
apne dil meñ ḳhaar chubho lo
sari sochen zehn se jhaTko
sare moti KHak mein rolo
duniya se samjhauta kar lo
hire kaTo patthar bolo
apne halke-pan ko chhupao
apni kashti aap Dubo lo
raston ko hamwar bana lo
patthar mein barud samo lo
is dam koi pas nahin hai
aao apne aap mein ho lo
auron ki phir baaten karna
pahle apne aap ko tolo
'faKHr' labon se phul bikhero
apne dil mein KHar chubho lo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.