sath chhuTe nahin ab gawara mujhe
saath chhūTe nahīñ ab gavārā mujhe
chāhe ilzām de jag ye saarā mujhe
terī chāhat ne aisā nikhārā mujhe
jhuk ke takne lagā har sitārā mujhe
tū na ho paas mere to ai jān-e-jāñ
koī lagtā nahīñ tujh sā pyārā mujhe
be-ḳhudī meñ chalī aa.ī terī taraf
tū ne jab jab kiyā hai ishārā mujhe
pyaar ne tere mas.hūr sā kar diyā
tū ne jab se diyā hai sahārā mujhe
sab kī jhūTī navāzish se tang aa ga.ī
ab na koī pukāre ḳhudārā mujhe
saath tū jo 'shagufta' ke chalne lagā
achchhā lagne lagā har nazārā mujhe
sath chhuTe nahin ab gawara mujhe
chahe ilzam de jag ye sara mujhe
teri chahat ne aisa nikhaara mujhe
jhuk ke takne laga har sitara mujhe
tu na ho pas mere to ai jaan-e-jaan
koi lagta nahin tujh sa pyara mujhe
be-KHudi mein chali aai teri taraf
tu ne jab jab kiya hai ishaara mujhe
pyar ne tere mashur sa kar diya
tu ne jab se diya hai sahaara mujhe
sab ki jhuTi nawazish se tang aa gai
ab na koi pukare KHudara mujhe
sath tu jo 'shagufta' ke chalne laga
achchha lagne laga har nazara mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.