sath hai bhi magar nahin dekha
saath hai bhī magar nahīñ dekhā
'umr-bhar ham-safar nahīñ dekhā
sar kisī sang-e-rah kī nazr huā
aap kā sang-e-dar nahīñ dekhā
maiñ ne tārīḳh meñ koī bhī shaḳhs
der tak taḳht par nahīñ dekhā
chāhe insān kī ho sūrat meñ
saañp ko mo'tabar nahīñ dekhā
merī āñkheñ udhar nahīñ uTThīñ
aur us ne idhar nahīñ dekhā
jab se suunī huī hai chhat apnī
chāñd bhī baam par nahīñ dekhā
haa.e duniyā ke baaġh meñ 'rāval'
zindagī kā shajar nahīñ dekhā
sath hai bhi magar nahin dekha
'umr-bhar ham-safar nahin dekha
sar kisi sang-e-rah ki nazr hua
aap ka sang-e-dar nahin dekha
main ne tariKH mein koi bhi shaKHs
der tak taKHt par nahin dekha
chahe insan ki ho surat mein
sanp ko mo'tabar nahin dekha
meri aankhen udhar nahin uTThin
aur us ne idhar nahin dekha
jab se suni hui hai chhat apni
chand bhi baam par nahin dekha
hae duniya ke bagh mein 'rawal'
zindagi ka shajar nahin dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.