sath kab tak nibhae tanhai
saath kab tak nibhā.e tanhā.ī
vo na aa.e na maut hī aa.ī
ishq ik roz mehrbān huā
mil ga.ī umr bhar kī rusvā.ī
bevafā.ī jo kar rahe the vahī
aaj kahte haiñ ham ko harjā.ī
ham ne koshish to kī bahut lekin
vo jo thī baat phir na ban paa.ī
ab to ḳhud se bhī mil nahīñ paate
jab se un se huī shanāsā.ī
aaj vo bhī to ban ga.e dushman
'rāz' bante the jo sage bhaa.ī
sath kab tak nibhae tanhai
wo na aae na maut hi aai
ishq ek roz mehrban hua
mil gai umr bhar ki ruswai
bewafai jo kar rahe the wahi
aaj kahte hain hum ko harjai
hum ne koshish to ki bahut lekin
wo jo thi baat phir na ban pai
ab to KHud se bhi mil nahin pate
jab se un se hui shanasai
aaj wo bhi to ban gae dushman
'raaz' bante the jo sage bhai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.