sath le kar aae hain wo raushni aur chand phul
saath le kar aa.e haiñ vo raushnī aur chand phuul
munsalik bāham hue haiñ zindagī aur chand phuul
tazkira shāmil rahā un meñ tumhāre husn kā
raas ham ko aa ga.e haiñ shā.erī aur chand phuul
kitnā ma.anī-ḳhez hai ye ruup qabristān kā
qabr se lipTe hue haiñ ḳhāmushī aur chand phuul
ik musalsal rog hai ye muntazir āñkhoñ kā rog
yaad ke jangal meñ chamke phir hañsī aur chand phuul
merī āñkhoñ se Tapak kar ashk patthar ban ga.e
tere lahje kī khanak haiñ chāñdnī aur chand phuul
jī ye chāhe camere kī aañkh meñ mahfūz hoñ
khilkhilātī dhuup meñ ye janvarī aur chand phuul
koī batlā.egā 'āsif' is kī hai ta.abīr kyā
ḳhvāb meñ dekhe haiñ aksar ik parī aur chand phuul
sath le kar aae hain wo raushni aur chand phul
munsalik baham hue hain zindagi aur chand phul
tazkira shamil raha un mein tumhaare husn ka
ras hum ko aa gae hain shaeri aur chand phul
kitna mani-KHez hai ye rup qabristan ka
qabr se lipTe hue hain KHamushi aur chand phul
ek musalsal rog hai ye muntazir aankhon ka rog
yaad ke jangal mein chamke phir hansi aur chand phul
meri aankhon se Tapak kar ashk patthar ban gae
tere lahje ki khanak hain chandni aur chand phul
ji ye chahe camere ki aankh mein mahfuz hon
khilkhilati dhup mein ye janwari aur chand phul
koi batlaega 'asif' is ki hai tabir kya
KHwab mein dekhe hain aksar ek pari aur chand phul
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.